Chaubey's Den

Thursday, May 12, 2005

Abhimanyu aur Irade

Abhimanyu aur Irade
~~~~~~~~~~~~~~~~

Zindagi, Log, Samay
Sab milke kar rachte hain
Ek Chakravyuh.
Jis tarah fansti hai chandni
Gehre, kaale badloon ke beech
Usi tarah nigalna chahta hai
Kisi Abhimanyu ko -- Yeh Chakravyuh.


Lekin
Vyakti nahi Irade hote hain Abhimanyu.
Vyakti nahi Irade hote hain Abhimanyu.

Varna kab ka toot jata Abhimanyu chakravyuh mein
Kab ki ghul jaati chandani badloon mein.
Nahi toot jata Abhimanyu Chakravyuh mein
Nahi ghul jati chandani badloon mein
Kyunki Vyakti nahi Irade hote hain Abhimanyu.

Isliye
Mat tootne dena saans Abhimanyu ki
Tum dekhna
Chak tootenge ek din
Chand nikalega ek din
Yeh Chakravyuh sooljhega.
Yeh saara Chakravyuh pighalega
Abhimanyu ke parakram se.

Yeh Chakravyuh, jo aaj kehta hai - Aham Nityaasmi,

Kal hoonkarega Abhimanyu
Aham Brahmasmi.

1 Comments:

  • arey, its a greater pain to write a hindi article in english. And moreover the flavour gets diminished for the reader. Or u could have just uploaded the jpg file of the poem. Go to: http://www.abhivyakti-hindi.org/abhi/hindi_shusha_fonts_dl_help.htm Here typing is also very easy (once u get used to) - u can do that just for the love of hindi.

    By Blogger shashi, at 10:00 PM  

Post a Comment

<< Home